Bachpan Ka Khel

Advertisement

Chalo Aaj Bachpan Ka Koi Khel Khelen,
Badi Muddat Hui Be-bajh Hans Kar Nahin Dekha.

चलो आज बचपन का कोई खेल खेलें,
बड़ी मुद्दत हुई बे-वजह हंसकर नहीं देखा।

Latest Bachpan Shayari - Bachpan Ka Khel

Zindagi Phir Kabhi Na Muskurai Bachpan Ki Tarha,
Maine Mitti Bhi Jama Ki Khilone Bhi Lekar Dekhe.

जिंदगी फिर कभी न मुस्कुराई बचपन की तरह,
मैंने मिट्टी भी जमा की खिलोने भी लेकर देखे।

Ab Tak Humari Umr Ka Bachpan Nahi Rah Gaya,
Ghar Se Chale The Jeb Ke Paise Gira Diye.

अब तक हमारी उम्र का बचपन नहीं गया,
घर से चले थे जेब के पैसे गिरा दिए।

Advertisement

Bachpan Me To Shaamein Bhi Hua Karti Thi,
Ab To Bas Subah Ke Baad Raat Ho Jaati Hai.

बचपन में तो शामें भी हुआ करती थी,
अब तो बस सुबह के बाद रात हो जाती है।

Wo Bachpan Ki Ameeri Na Jaane Kahan Kho Gayi,
Jab Paani Me Humare Bhi Jahaz Chalte The.

वो बचपन की अमीरी न जाने कहां खो गई,
जब पानी में हमारे भी जहाज चलते थे।

Ajeeb Saudagar Hai Yeh Waqt Bhi,
Jabani Ka Lalach Deke Bachpan Le Gaya.

अजीब सौदागर है यह वक़्त भी,
जवानी का लालच देके बचपन ले गया।

Sukoon Ki Baat Mat Kar Aye Dost,
Bachpan Wala Raviwaar Ab Nahi Aata.

सुकून की बात मत कर ऐ दोस्त,
बचपन वाला रविवार अब नहीं आता।

Advertisement
Advertisement