Kalam Kudrat Ke Haath Hai

Advertisement

Fikr Mat Kar Bande Kalam Kudrat Ke Haath Hai,
Likhne Wale Ne Likh Diya Kismat Tere Saath Hai,
Fikr Karta Hai Kyu, Fikr Se Hota Hai Kya,
Rakh Bhagvaan Pe Bharosa Dekh Phir Hota Hai Kya.

फ़िक्र मत कर बन्दे कलम कुदरत के हाथ है,
लिखने वाले ने लिख दिया किस्मत तेरे साथ है,
फ़िक्र करता है क्यों, से होता है क्या,
रख भगवान पे भरोसा देख फिर होता है क्या।

Dar Mujhe Bhi Laga Fasla Dekh Kar,
Par Main Badhta Gaya Rasta Dekh Kar,
Khud Ba Khud Mere Nazdeek Aati Gayi,
Meri Manzil Mera Hausla Dekh Kar.

Advertisement

डर मुझे भी लगा फासला देख कर,
पर मैं बढ़ता गया रास्ता देख कर,
खुद ब खुद मेरे नज़दीक आती गई,
मेरी मंज़िल मेरा हौंसला देख कर।

Main Mausam Nahi Hun Jo Pal Mein Badal Jaun,
Main Is Jameen Se Door Kahin Aur Hi Nikal Jaun,
Main Us Purane Jamane Ka Sikka Hun Mujhe Fenk Na Dena,
Ho Sakta Hai Bure Dinon Mein Main Hi Chal Jaun.

मैं मौसम नही हूँ जो पल में बदल जाऊँ,
मैं इस जमीन से दूर कहीं और ही निकल जाऊँ,
मैं उस पुराने जमाने का सिक्का हूँ मुझे फेंक न देना,
हो सकता है बुरे दिनों में मैं ही चल जाऊँ।

Advertisement
Advertisement