- Home
- Insaniyat Shayari
- Insaniyat Dil Me Hoti Hai
Insaniyat Dil Me Hoti Hai
Insaniyat Dil Me Hoti Hai Haisiyat Me Nahi,
Uparvala Karm Dekhta Hai Vaseeyat Ko Nahi.
इंसानियत दिल मे होती है हैसियत मे नही,
उपरवाला कर्म देखता है वसीयत को नही।
Khat Jo Likha Maine Insaniyat Ke Pate Par,
Dakiya Hi Chal Basa Shahar Dhundhte Dhundhte.
ख़त जो लिखा मैनें इंसानियत के पते पर,
डाकिया ही चल बसा शहर ढूंढ़ते ढूंढ़ते।
Jinhen Mahsoos Insano Ke Ranjo-Gam Nahin Hote,
Vo Insan Bhi Hargij Patthron Se Kam Nahin Hote.
जिन्हें महसूस इंसानों के रंजो-गम नहीं होते,
वो इंसान भी हरगिज पत्थरों से कम नहीं होते।
Insaniyat Ki Raushni Gum Ho Gai Kahan,
Sae To Hai Aadmi Ke Magar Aadmi Kahan?
इन्सानियत की रौशनी गुम हो गई कहाँ,
साए तो हैं आदमी के मगर आदमी कहाँ?
Is Daur Mein Insan Ka Chehra Nahin Milta,
Kab Se Main Naqabon Ki Tahen Khol Raha Hoon.
इस दौर में इंसान का चेहरा नहीं मिलता,
कब से मैं नक़ाबों की तहें खोल रहा हूँ।