- Home
- Sharab Shayari
- Ilzaam Sharaab Ko
Ilzaam Sharaab Ko
Nasha Ham Kiya Karte Hain
Ilzaam Sharab Ko Diya Karte Hain,
Kasoor Sharab Ka Nahin Unka Hai
Jiska Chehra Ham Jaam Mein Talash Kiya Karte Hain.
नशा हम किया करते हैं
इल्ज़ाम शराब को दिया करते हैं,
कसूर शराब का नहीं उनका है
जिसका चेहरा हम जाम में तलाश किया करते हैं।
Gham Is Kadar Mila Ki Ghabra Ke Pee Gaye,
Khushi Thodi Si Mili To Mila Ke Pee Gaye,
Yun To Naa Thi Janam Se Peene Ki Aadat,
Sharab Ko Tanha Dekha To Taras Kha Ke Pee Gaye.
ग़म इस कदर मिला कि घबरा के पी गए,
ख़ुशी थोड़ी सी मिली तो मिला के पी गए,
यूँ तो ना थी जनम से पीने की आदत,
शराब को तनहा देखा तो तरस खा के पी गए।
Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka,
Hosh Dono Mein Kho Jate Hain,
Fark Sirf Itna Hai Ki Sharab Sula Deti Hai,
Aur Mohabbat Rula Deti Hai.
नशा मोहब्बत का हो या शराब का,
होश दोनों में खो जाते हैं,
फर्क सिर्फ इतना है की शराब सुला देती है,
और मोहब्बत रुला देती है।
Meri Kabar Pe Mat Gulab Le Kar Aana,
Na Hi Haathon Mein Chiraag Le Kar Aana,
Pyasa Hu Main Barso Se Sanam,
Botal Sharab Ki Aur Ek Glass Le Kar Aana.
मेरी कबर पे मत गुलाब ले कर आना,
न ही हाथों में चिराग ले कर आना,
प्यासा हूँ मैं बरसो से सनम,
बोतल शराब की और एक गिलास ले कर आना।