- Home
- Siyasat Shayari
- Majhabi Siyasten
Majhabi Siyasten
Ai Dil Chal Ud Chale Kaheen Door Us Jahaan Mein,
Jahaan Majhabi Siyasten Aur Sarhaden Na Hon.
ऐ दिल चल उड़ चले कहीं दूर उस जहाँ में,
जहाँ मजहबी सियासते और सरहदें न हों।
Tum Mere Dost Ho... Dushman Ban Jao,
Magar Khuda Ke Liye Siyasat Mat Karo.
तुम मेरे दोस्त हो... दुश्मन बन जाओ,
मगर ख़ुदा के लिए सियासत मत करो।
Samjhne Hi Nahin Deti Siyasat Hamko Sachchai,
Kabhi Chehra Nahin Milta Kabhi Darpan Nahin Milta.
समझने ही नहीं देती सियासत हमको सच्चाई,
कभी चेहरा नहीं मिलता कभी दर्पन नहीं मिलता।
Siyasat Ke Mukhaute Se Chasani Tapak Rahi Hai,
Maaloom Hua Hai Chunaav Ki Madhumakhiyaan Daud Rahi Hain.
सियासत के मुखौटे से चासनी टपक रही है,
मालूम हुआ है चुनाव की मधुमखियाँ दौड़ रही हैं।
Siyasat Is Kadar Avaam Pe Ahasan Karati Hai,
Aankhe Chheen Leti Hai Phir Chashme Daan Karti Hai.
सियासत इस कदर अवाम पे अहसान करती है,
आँखे छीन लेती है फिर चश्में दान करती है।
Ai Siyasat... Toone Bhi Is Daur Mein Kamaal Kar Diya,
Gareebon Ko Gareeb Ameeron Ko Maala-Maal Kar Diya.
ऐ सियासत... तूने भी इस दौर में कमाल कर दिया,
गरीबों को गरीब अमीरों को माला-माल कर दिया।