Aankhein Shayari, Ankhon Ka Kasoor

Advertisement

Deewane Hain Tere, Is Baat Se Inkaar Nahin,
Kaise Kahen Ki Hamen Tumse Pyar Nahin,
Kuchh To Kasoor Hai Teri In Aankhon Ka,
Ham Akele To Gunhagaar Nahin.

दीवाने हैं तेरे, इस बात से इंकार नहीं,
कैसे कहें कि हमें तुमसे प्यार नहीं,
कुछ तो कसूर है तेरी इन आँखों का,
हम अकेले तो गुनहगार नहीं।

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankhon Mein,
Ki Meri Aankhon Ko Khabar Na Ho,
Tujhe Bhoolne Ki Duayen Karoon,
To Duaon Mein Meri Asar Na Ho.

कभी यूँ भी आ मेरी आँखों में,
कि मेरी आँखों को खबर न हो,
तुझे भूलने की दुआयें करूँ,
तो दुआओं में मेरी असर ना हो।

Advertisement

Raat Gum Sum Hai Magar Khaamosh Nahi,
Kaise Kah Doon Aaj Phir Hosh Nahi,
Aise Dooba Hoon Teri Aankhon Ki Gahrai Mein,
Haath Mein Jaam Hai Magar Peene Ka Hosh Nahi.

रात गुम सुम है मगर खामोश नही,
कैसे कह दूँ आज फिर होश नही,
ऐसे डूबा हूँ तेरी आँखों की गहराई में,
हाथ में जाम है मगर पीने का होश नही।

Aankhon Mein Na Hamko Dhoondho Sanam,
Dil Mein Ham Bas Jaenge,
Chahat Hai Agar Milne Ki To,
Soti Aankhon Mein Bhi Ham Nazar Aaenge.

आँखों में ना हमको ढूंढो सनम,
दिल में हम बस जाएंगे,
चाहत है अगर मिलने की तो,
सोती आँखों में भी हम नज़र आएंगे।

Advertisement
Advertisement