- Home
- Bachpan Shayari
- Bachpan Ka Sawan
Bachpan Ka Sawan
Koyi Mujhko Lauta De Wo Bachpan Ka Sawan,
Woh Kagaj Ki Kashti, Wo Barish Ka Paani.
कोई मुझको लौटा दे वो बचपन का सावन,
वो कागज की कश्ती वो बारिश का पानी।
Dekha Karo Kabhi Apni Maa Ki Aankhon Mein Bhi,
Ye Wo Aaina Hai Jismen Bachche Kabhi Boodhe Nahi Hote.
देखा करो कभी अपनी माँ की आँखों में भी,
ये वो आईना हैं जिसमें बच्चे कभी बूढ़े नही होते।
Wo Bachpan Ki Ameeri Na Jaane Kahaan Kho Gai
Jab Pani Mein Hamaare Bhi Jahaaj Chalte The….
वो बचपन की अमीरी न जाने कहां खो गई
जब पानी में हमारे भी जहाज चलते थे…।
Der Tak Hansta Raha Unn Par Humara Bachpana,
Jab Tajurbe Aaye The Sanjeeda Banaane Ke Liye.
देर तक हँसता रहा उन पर हमारा बचपना,
जब तजुर्बे आए थे संजीदा बनाने के लिए।
Mera Bachpan Bhi Saath Le Aaya,
Gaanv Se Jab Bhi Aa Gaya Koi.
मेरा बचपन भी साथ ले आया,
गाँव से जब भी आ गया कोई।
Aur Toh Kuchh Nahi Badla Umr Barhne Ke Saath,
Bachpan Ki Jo Jid Thi Samjhauto Mein Badal Gayi.
और तो कुछ नहीं बदला उम्र बढ़ने के साथ,
बचपन की जो ज़िद थी समझौतों में बदल गई।
Jhooth Bolte The Phir Bhi Kitne Sachche The Hum,
Ye Un Dino Ki Baat Hai Jab Bachche The Hum.
झूठ बोलते थे फिर भी कितने सच्चे थे हम,
यह उन दिनों की बात है जब बच्चे थे हम।
Kisne Kaha, Nahin Aati Wo Bachpan Waali Barish,
Tum Bhool Gaye Ho Shayad Ab Naav Banani Kagaz Ki.
किसने कहा, नहीं आती वो बचपन वाली बारिश,
तुम भूल गए हो शायद अब नाव बनानी कागज़ की।